Sunday, February 17, 2013

Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai - Hazrat Bedam Shah Warsi

Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai
Wahin tak dekh sakta hai nazar jiski jahan tak hai

Hum itni bhi na samjhe aql khoi dil gawan baithe
Ke husn o ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai

Zameen se aasman tak ek sannate ka aalam hai
Naheen maalum mere dil ki viraani kahaan tak hai

Zameen se aasman tak aasman se la makan tak hai
Khuda jane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

Niyaz o naaz ki rudad husn o ishq ka qissa
Ye jo kuchh bhi hai sab unki hamari dastan tak hai

Khayal e yaar ne to aate hi gum kar diya mujhko
Yahi hai ibteda to inteha iski kahan tak hai

Suna hai sufiyon se hamne aksar khanaqahon mein
Ki yeh rangeen bayani 'Bedam' rangeen bayan tak hai

- Kalaam by Hazrat Bedam Shah Warsi

No comments:

Post a Comment