Sunday, February 17, 2013

Duniya ke sitam yaad na apani hi wafaa yaad - Jigar Moradabadi

Duniya ke sitam yaad na apani hi wafaa yaad
Ab mujh ko nahin kuchh bhi muhabbat ke siwaa yaad

Main shikwa ba-lab tha, mujhe ye bhi na rahaa yaad
shaayad ke mere bhoolne waale ne kiyaa yaad

Jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazish
Us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwaa yaad

Muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin
Ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sadaa yaad

Haan haan tujhe kya kaam mere shiddat-e-gham se
Haan haan nahin mujh ko tere daaman ki hawaa yaad

Main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chukaa tha
kyun aa gai aise mein teri lagzish-e-paa yaad

Kya lutf ki main apna pata aap bataoon
Keeje koi bhooli hui Khaas apani adaa yaad 


~ Jigar Moradabadi Sahab 

No comments:

Post a Comment