Sunday, February 17, 2013

Husn ko wus'aten jo deen ishq ko hausla diya - Asghar Gondvi


Husn ko wus'aten jo deen ishq ko hausla diya
Jo na mile na mit sake mujh ko wo mudd'aa diya

Haath me leke jaam-e-maey aaj wo muskura diya
Aql ko sard kar dia ruh ko jagmaga diya

Dil pe liya hai daag-e-ishq khoke bahaar-e-zindagi
Ik ghul-e-tar ke waaste mainey chaman lutaa diya

Kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the saath kya
Ghum me yah kyun suroor tha dard ne kyun maza diya

Ab na yah meri zaat hai ab na ye kaaenaat hae
Mainey nawa-e-ishq ko saaz se yun mila diya

Aks jamaal-e-yaar ka aainaa-e-khudi me dekh
Yah ghum-e-ishq kya dia mujhse mujhe chhipa diya

Hashr me aaftaab-e-hashr aur wo shor-e-al'amaan
'Asghar'-e-butparast ne zulf ka waasta diya

~ 'Asghar' Gondvi

No comments:

Post a Comment