Aye jazba-e-dil
gar main chahoon har cheez muqabil aa jaaye
Manzil ke liye do gaam chaloon aur saamne manzil aa jaaye
Manzil ke liye do gaam chaloon aur saamne manzil aa jaaye
Aye dil ki Khalish chal yuun hi
sahi, chalataa to hoon unki mahfil mein
Us waqt mujhe chaunka denaa jab rang pe mahfil aa jaaye
Aye rahbar-e-kaamil chalne ko
tayyar to hoon, par yaad rahe
Us waqt mujhe bhatkaa denaa jab saamane manzil aa jaaye
Haan yaad mujhe tum kar lenaa awaaz
mujhe tum de lenaa
Is raah-e-muhabbat mein koi darapesh jo mushkil aa jaaye
Ab kyun dhoond wo chashm-e-karam hone de sitam
balaa-e-sitam
main chaahtaa hoon aye jazbaaa-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
Is jazba-e-dil ke baare mein ik
mashwaraa tum se letaa hoon
Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye
Aye barq-e-tajalli kya tu ne
mujhko bhi Musa samjha hai
Main toor nahin jo jal jaaun jo chaahe muqaabil aa jaaye
~ Hazrat Behzad Lukhnavi
No comments:
Post a Comment