Sunday, February 17, 2013

Bhulaataa lakh hoon lekin baraabar yaad aate hain - Hasrat Mohani


Bhulaataa lakh hoon lekin baraabar yaad aate hain
Elahi tark-e-ulfat par wo kyonkar yaad aate hain

Na chhed aye hum-nasheen kaifiyat-e-sahabaa ke afsaane
Sharaab-e-be-Khudi ke mujh ko saghar yaad aate hain

Rahaa karate hain qaid-e-hosh mein aye wai nakaami
Wo dasht-e-Khud faraamoshi ke chakkar yaad aate hain

Nahin aati to yaad unaki maheenon bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

Haqiqat khul gai 'Hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
Tujhe to ab wo pahle se bhi badh kar yaad aate hain

~ Janaab Hasrat Mohani Sahab

No comments:

Post a Comment