Monday, February 25, 2013

Ghazal ke saaz uthaao badi udaas hai raat - Firaq Gorakhpuri


Ghazal ke saaz uthaao badi udaas hai raat
Nawa-e-‘Mir’ sunaao badi udaas hai raat

Nawa-e-dar mein ik zindagi to hoti hai
Nawa-e-dard sunaao badi udaas hai raat

Udaasiyon ke jo humraaz-o-humnafas the kabhi
Unhein na dil se bhulaao badi udaas hai raat

Jo ho sake to idhar ki bhi raah bhool pado
Sanam-kadey ki hawaao badi udaas hai raat

Kahein na tum se to fir aur kis se jaa ke kahein
Siyaah zulf ke saayo badi udaas hai raat

Padaa hai saaya-e-gham jab hayaat-e-insaan pe
Wo dastaan bhi sunaao badi udaas hai raat

Abhi to zikr-e-sahar doston hai door ki baat
Abhi to dekhte jaao badi udaas hai raat

Suna hai pahle bhi aise mein bujh gaye hain charaag
Dilon ki khair manaao badi udaas hai raat

Diye raho yun hi kuchh aur der haath mein haath
Abhi na paas se jaao badi udaas hai raat
Koi shumaar bhi rakhti hain zilmatein ki tahein
Bataao gham ki ghataao badi udaas hai raat         

Koi kaho ye khayaalon se aur khwabon se
Dilon se door na jaao badi udaas hai raat

Karo jo gaur to radd-o-qubool yaksaan han
Dilon se nikli duaaon badi udaas hai raat             

Yagaangi ho ki deewangi ho sab dokha
Suno sab apne paraayo badi udaas hai raat         

Samet lo ki bade kaam ki hai daulat-e-gham
Isey yun hi na ganwaao badi udaas hai raat         

Basey huye hain kisi ke jo lams-e-rangeen ka
Wo bistarey na lagaao badi udaas hai raat           

Isi khandahar mein kuchh diye hain tutey hui
Inheen se kaam chalaao badi udaas hai raat        

Liye huye hain jo beetey ghamon ke afsaane
Wo zindagi hi bulaao badi udaas hai raat             

Bharam nashaat-o-tarab ke na aur khul jaaye
Mai-o-ayaag badhaao badi udaas hai raat            

Do-aatshaa na banaa de usey nawa-e-‘Firaq’
Ye saaz-e-gham na sunaao badi udaas hai raat   

~ ‘Firaq’ Gorakhpuri

No comments:

Post a Comment