Sunday, February 24, 2013

Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya - Khwaja Mir Dard


Duniya  mein kaun kaun na yak baar ho gaya
Par munh phir is taraf na kiya us ne jo gaya

Phirti hai meri khaak, saba dar-ba-dar liye
Aye chashm-e-Aashkbaar,  yeh kya tujh ko ho gaya

Agaah is jahaan mein nahin ghair be khudaa(n)
Jaaga wahi udhar se jo mund aankh so gaya

Tufaan-e-nooh ne to dubaai zameen Faqat
Main Nang-E-Khalq Saari Khudaai Dabo Gaya

Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki aashti
Darta hoon aaj baagh mein woh tund khu gaya

Waaiz kise daraawe hai yum-ul-hisaab se
Giriya mera to naama-e-aamaal dho gaya

Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat
Yaan main zameen-e-Sher mein ye tukhm bo gaya

Ayaa na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahr
Main garche garm-o-sard-e-zamaana samo gaya

Aye ‘Dard’ jis ki aankh khuli is jahaan mein
Shabnam ki tarha jaan ko apni wo ro gaya

~ Khwaja Mir ‘Dard’

No comments:

Post a Comment