Monday, April 15, 2013

Haaye logon ki karam-farmaaiyaan - Kaif Bhopali Sahab


Haaye logon ki karam-farmaaiyaan,
Tohmatein, badnaamiyaan, rusvaaiyaan;

Zindagi shaayad isi ka naam hai,
Dooriyaan, majbooriyaan, tanhaiyaan;

Kya zamaane mein yun hi kat’ti hai raat,
Karvatein, betabiyaan, angraiyaan;

Kyaa yahi hoti hai shaam-e-intizaar,
Aahatein, ghabraahatein, parchhaiyaan;

Ek paikar mein simat kar rah gayeen,
Khoobiyan, zebaiyaan, raanaiyaan;

Zakhm dil ke phir hare karne lageen,
Badliyaan, barkhaa rutein, purvaiyaan;

“Kaif” paida kar samandar ki tarah,
Vus’atein, Khamoshiyaan, gahraiyaa....!!!

~ ‘Kaif’ Bhopali Sahab