Sunday, June 30, 2013

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa - ‘Shamim’ Karhani

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

~ ‘Shamim’ Karhani





Monday, May 27, 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi ~ ‘Arsh’ Malsiayani

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ ‘Arsh’ Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem

Sunday, May 5, 2013

Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi - ‘Asghar’ Gondavi

Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi,
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi;

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi;

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui,
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi;

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya,
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi;

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar,
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi,
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi;

~ Hazrat ‘Asghar’ Gondavi

Monday, April 15, 2013

Haaye logon ki karam-farmaaiyaan - Kaif Bhopali Sahab


Haaye logon ki karam-farmaaiyaan,
Tohmatein, badnaamiyaan, rusvaaiyaan;

Zindagi shaayad isi ka naam hai,
Dooriyaan, majbooriyaan, tanhaiyaan;

Kya zamaane mein yun hi kat’ti hai raat,
Karvatein, betabiyaan, angraiyaan;

Kyaa yahi hoti hai shaam-e-intizaar,
Aahatein, ghabraahatein, parchhaiyaan;

Ek paikar mein simat kar rah gayeen,
Khoobiyan, zebaiyaan, raanaiyaan;

Zakhm dil ke phir hare karne lageen,
Badliyaan, barkhaa rutein, purvaiyaan;

“Kaif” paida kar samandar ki tarah,
Vus’atein, Khamoshiyaan, gahraiyaa....!!!

~ ‘Kaif’ Bhopali Sahab 

Monday, February 25, 2013

Ghazal ke saaz uthaao badi udaas hai raat - Firaq Gorakhpuri


Ghazal ke saaz uthaao badi udaas hai raat
Nawa-e-‘Mir’ sunaao badi udaas hai raat

Nawa-e-dar mein ik zindagi to hoti hai
Nawa-e-dard sunaao badi udaas hai raat

Udaasiyon ke jo humraaz-o-humnafas the kabhi
Unhein na dil se bhulaao badi udaas hai raat

Jo ho sake to idhar ki bhi raah bhool pado
Sanam-kadey ki hawaao badi udaas hai raat

Kahein na tum se to fir aur kis se jaa ke kahein
Siyaah zulf ke saayo badi udaas hai raat

Padaa hai saaya-e-gham jab hayaat-e-insaan pe
Wo dastaan bhi sunaao badi udaas hai raat

Abhi to zikr-e-sahar doston hai door ki baat
Abhi to dekhte jaao badi udaas hai raat

Suna hai pahle bhi aise mein bujh gaye hain charaag
Dilon ki khair manaao badi udaas hai raat

Diye raho yun hi kuchh aur der haath mein haath
Abhi na paas se jaao badi udaas hai raat
Koi shumaar bhi rakhti hain zilmatein ki tahein
Bataao gham ki ghataao badi udaas hai raat         

Koi kaho ye khayaalon se aur khwabon se
Dilon se door na jaao badi udaas hai raat

Karo jo gaur to radd-o-qubool yaksaan han
Dilon se nikli duaaon badi udaas hai raat             

Yagaangi ho ki deewangi ho sab dokha
Suno sab apne paraayo badi udaas hai raat         

Samet lo ki bade kaam ki hai daulat-e-gham
Isey yun hi na ganwaao badi udaas hai raat         

Basey huye hain kisi ke jo lams-e-rangeen ka
Wo bistarey na lagaao badi udaas hai raat           

Isi khandahar mein kuchh diye hain tutey hui
Inheen se kaam chalaao badi udaas hai raat        

Liye huye hain jo beetey ghamon ke afsaane
Wo zindagi hi bulaao badi udaas hai raat             

Bharam nashaat-o-tarab ke na aur khul jaaye
Mai-o-ayaag badhaao badi udaas hai raat            

Do-aatshaa na banaa de usey nawa-e-‘Firaq’
Ye saaz-e-gham na sunaao badi udaas hai raat   

~ ‘Firaq’ Gorakhpuri

Sunday, February 24, 2013

Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya - Khwaja Mir Dard


Duniya  mein kaun kaun na yak baar ho gaya
Par munh phir is taraf na kiya us ne jo gaya

Phirti hai meri khaak, saba dar-ba-dar liye
Aye chashm-e-Aashkbaar,  yeh kya tujh ko ho gaya

Agaah is jahaan mein nahin ghair be khudaa(n)
Jaaga wahi udhar se jo mund aankh so gaya

Tufaan-e-nooh ne to dubaai zameen Faqat
Main Nang-E-Khalq Saari Khudaai Dabo Gaya

Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki aashti
Darta hoon aaj baagh mein woh tund khu gaya

Waaiz kise daraawe hai yum-ul-hisaab se
Giriya mera to naama-e-aamaal dho gaya

Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat
Yaan main zameen-e-Sher mein ye tukhm bo gaya

Ayaa na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahr
Main garche garm-o-sard-e-zamaana samo gaya

Aye ‘Dard’ jis ki aankh khuli is jahaan mein
Shabnam ki tarha jaan ko apni wo ro gaya

~ Khwaja Mir ‘Dard’

Saturday, February 23, 2013

Yun maana zindagi hai chaar din ki - Firaq Gorakhpuri


Yun maana zindagi hai chaar din ki
Bahut hote hain yaaro chaar din bhi

Khuda ko pa gaya waaiz magar hai
Zaroorat aadmi ko aadmi ki

Basaa auqaat dil se kah gai hai
Bahut kuchh wo nigaah-e-mukhtasar bhi

Mila hoon muskura kar us se har baar
Magar aankhon mein bhi thi kuch nami si

Muhabbat mein karein kya haal dil ka
Khushi hi kaam aati hai na gham hi

Bhari mehfil mein har ek se bachakar
Teri aankhon ne mujh se baat kar li

Ladakapan ki adaa hai jaanleva
Gazab ki chokari hai hath-bhar ki

Raqeeb-e-ghamazada ab sabr kar le
kabhi  is se meri bhi dosti thi

~ ‘Firaq’ Gorakhpuri

Sunday, February 17, 2013

Duniya ke sitam yaad na apani hi wafaa yaad - Jigar Moradabadi

Duniya ke sitam yaad na apani hi wafaa yaad
Ab mujh ko nahin kuchh bhi muhabbat ke siwaa yaad

Main shikwa ba-lab tha, mujhe ye bhi na rahaa yaad
shaayad ke mere bhoolne waale ne kiyaa yaad

Jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazish
Us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwaa yaad

Muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin
Ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sadaa yaad

Haan haan tujhe kya kaam mere shiddat-e-gham se
Haan haan nahin mujh ko tere daaman ki hawaa yaad

Main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chukaa tha
kyun aa gai aise mein teri lagzish-e-paa yaad

Kya lutf ki main apna pata aap bataoon
Keeje koi bhooli hui Khaas apani adaa yaad 


~ Jigar Moradabadi Sahab 

Aye jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaaye - Behzad Lukhnavi


Aye jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaaye 
Manzil ke liye do gaam chaloon aur saamne manzil aa jaaye 

Aye dil ki Khalish chal yuun hi sahi, chalataa to hoon unki mahfil mein 
Us waqt mujhe chaunka denaa jab rang pe mahfil aa jaaye 


Aye rahbar-e-kaamil chalne ko tayyar to hoon, par yaad rahe 
Us waqt mujhe bhatkaa denaa jab saamane manzil aa jaaye 


Haan yaad mujhe tum kar lenaa awaaz mujhe tum de lenaa 
Is raah-e-muhabbat mein koi darapesh jo mushkil aa jaaye 


Ab kyun  dhoond wo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam 
main chaahtaa hoon  aye  jazbaaa-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye 


Is jazba-e-dil ke baare mein ik mashwaraa tum se letaa hoon 
Us waqt mujhe kya laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye 


Aye barq-e-tajalli kya tu ne mujhko bhi Musa samjha hai 
Main toor nahin jo jal jaaun jo chaahe muqaabil aa jaaye 


~ Hazrat Behzad Lukhnavi

Dil liya jis ne bewafaai ki - Shefta


Dil liya jis ne, bewafaai ki
Rasm hai kya ? ye dilrubaai ki

Tum ko andesha-e-giraftaari
Yaan tawaqqo nahin rihaai ki

Wasl mein kis tarah hoon shaadi-e-marg
Mujh ko taaqat nahin judaai ki

Ek din terey ghar mein aana hai
Bakht-e-taake ne gar rasaai ki

Dil lagaaya to naasihon ko kya
Baat jo apne ji mein aai, ki

‘Shefta’ wo ki jis ne saari umr
Deendaari-o-paarsaai ki

Nawab Mustafa Khan ‘Shefta’ 

Buton ne ya khuda ne maar daala - ‘Hafiz’ Jalandhari


Buton ne ya khuda ne maar daala
Mohabbat ke bahaane maar daala

Maseeha ko na aana tha, na aaye
Qazaa aai, qazaa ne maar daala

Rahe unke bahaane hi bahaane
Bahaane hi bahaane, maar daala

Buton ! kyun qatl se karte ho parhez
Agar mujhko khuda ne maar daala

Mohabbat  ko maraz samjhe huye the
Tabeebon ki dawa ne maar daala

Kahaa yah sun ke zikr-e-marg-e-dushman
Kisi ki bad’dua ne maar daala

Arey yah zulm, arey yah sard-mehari
Zamaane ! O zamaane ! maar daala

~ ‘Hafiz’ Jalandhari

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota - Bahadur Shah ‘Zafar’

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota


Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota


Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash ! sang-e-dar-e-janaana banaay hota


Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota


Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota


Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota


Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota


Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai ‘Zafar’
Aisi basti se to weerana banaaya hota


~ Hazrat Bahadur Shah ‘Zafar’

Ab hai khushi khushi mein na gham hai malaal mein - Behzad Lakhnvi

Ab hai khushi, khushi mein na gham hai malaal mein
Duniya se kho gaya hoon tumhaare khayaal mein


Mujh ko na apna hosh na suniya ka hosh hai
Nast ho ke baitha hoon tumhare khayaal mein


Taron se pooch lo meri rudaad-e-zindagi
Raton ko jaagta hoon tumhaare khayaal mein


Duniya ko ilm kya hai jamaane ko kya khabar
Duniya bhula chukaa hoon tumhare khayaal mein


Duniya khadi hai muntazir-e-nagma-e-alam
‘Behzad’ chup khade hain kisi ke khayal mein


~ Hazrat Behzad Lukhnawi Niyazi 

Un aankhon ka aalam ghulabi ghulabi - ‘Behzad’ Lakhnavi

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi
Merey dil ka aalam, sharabi sharabi

Nigahon ne dekhi, muhabbat ne maani
Teri bemisali, teri lajawaabi

Ye duz-deeda nazarein, ye raftaar-e-naazuk
Inheen ke badaulat hui hai kharabi


Khuda ke liye apni nazron ko roko
Tamanna bani ja rahi hai jawabi


Hai “Behzad” unki nigah-e-karam par
Meri na-muradi meri kaamayabi


~ Hazrat ‘Behzad’ Lucknawi Niyazi R.A.

Bhulaataa lakh hoon lekin baraabar yaad aate hain - Hasrat Mohani


Bhulaataa lakh hoon lekin baraabar yaad aate hain
Elahi tark-e-ulfat par wo kyonkar yaad aate hain

Na chhed aye hum-nasheen kaifiyat-e-sahabaa ke afsaane
Sharaab-e-be-Khudi ke mujh ko saghar yaad aate hain

Rahaa karate hain qaid-e-hosh mein aye wai nakaami
Wo dasht-e-Khud faraamoshi ke chakkar yaad aate hain

Nahin aati to yaad unaki maheenon bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

Haqiqat khul gai 'Hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
Tujhe to ab wo pahle se bhi badh kar yaad aate hain

~ Janaab Hasrat Mohani Sahab

Mamoor ho raha hai aalam mein noor tera - Niyaz Ahmed Barelvi

Mamoor ho raha hai aalam mein noor tera.
Az maah taab mahi,sab hai zahoor tera.

Israar-e-Ahmadi se aagaah ho so jaaney,
Tu noor-e-har sharar hai,har sang-e-toor tera.

Har aankh tak rahi hai tere hi munh ko pyaare,
Har kaan mein hoon paata,shor-e-zahoor tera.

Jab ji mein ye samaaya ki jo kuch hai so tu hai,
Phir dil se kab door ho,qurb-o-hazoor tera.

Bhaata nahin hai waaiz juz deed-e-haq mujhe kuch,
Tujhko rahe mubaarak hoor-o-qasoor tera.

Wahdat ke hai ye jalwe naqsh-e-nigaah kusrat,
Gar sirre-maarifat ko,paaye shaoor tera.

Gar harf-e-beniyazi sarzad 'Niyaz' se ho,
Putley mein khaak ke hai,Pyaare guroor tera

~ Hazrat Shah Niyaz Ahmed Barelvi R.A.

Mera jee hai jab tak teri justaju hai - Khwaja Meer Dard

Mera jee hai jab tak, teri justaju hai,
Zabaan jab talak hai, yahi aarzoo hai.

Tamanna teri hai, agar hai tamanna,
Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai.

Kiya sair sab hum gulzaar-e-duniya,
Gul-e-dosti main ajab rang-o-boo hai.

Nazar mere dil ki padi ‘dard’, kis par,
Jidhar dekhta hoon, wahi ru-ba-ru hai.

- Hazrat Khwaja Meer ‘Dard’

Husn ko wus'aten jo deen ishq ko hausla diya - Asghar Gondvi


Husn ko wus'aten jo deen ishq ko hausla diya
Jo na mile na mit sake mujh ko wo mudd'aa diya

Haath me leke jaam-e-maey aaj wo muskura diya
Aql ko sard kar dia ruh ko jagmaga diya

Dil pe liya hai daag-e-ishq khoke bahaar-e-zindagi
Ik ghul-e-tar ke waaste mainey chaman lutaa diya

Kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the saath kya
Ghum me yah kyun suroor tha dard ne kyun maza diya

Ab na yah meri zaat hai ab na ye kaaenaat hae
Mainey nawa-e-ishq ko saaz se yun mila diya

Aks jamaal-e-yaar ka aainaa-e-khudi me dekh
Yah ghum-e-ishq kya dia mujhse mujhe chhipa diya

Hashr me aaftaab-e-hashr aur wo shor-e-al'amaan
'Asghar'-e-butparast ne zulf ka waasta diya

~ 'Asghar' Gondvi

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye - Khumar Barabanki

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka mazaa hum se poochhiye


Bhooley hain raftaa-raftaa unhein muddatton mein hum
Qishton mein Khud-kushi ka mazaa hum se poochhiye


Aghaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka mazaa hum se poochhiye


Jalte diyon mein jalte gharon jaise zau kahaan
Sarkaar raushni ka mazaa hum se poochhiye


Wo jaan hi gaye ki humein un se pyaar hai
Aankhon ki mukhbari ka mazaa hum se poochhiye


Hasne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka mazaa hum se poochhiye


Hum tauba kar ke mar gaye qabl-e-azal "Khumaar"
Tauheen-e-maikashi ka mazaa hum se poochhiye !!!


~ Janaab "Khumaar" Barabanki Sahab !!!!!

Guzishtaa khaak nasheenon ki yaadgaar hoon main - Amir Meenai

Guzishtaa khaak nasheenon ki yaadgaar hoon main,
Mitaa huaa saa nishaan-e-sar-e-mazaar hoon main.


Nigaah-e-garm se mujhko na dekh ae dozakh,
Khabar nahin tujhe kis ka gunahgaar hoon main.


Phir uski shaan-e-karimi ke hausle dekhe,
Gunaahgaar yah kah de, gunaahgaar hoon main.


Bade maze mein guzarti hai bekhudi mein ameer,
Khudaa voh din na dikhaaye ki hoshiyaar hoon main.


~Ameer Meenai

Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai - Hazrat Bedam Shah Warsi

Khuda jane kahan se jalwaye jana kahan tak hai
Wahin tak dekh sakta hai nazar jiski jahan tak hai

Hum itni bhi na samjhe aql khoi dil gawan baithe
Ke husn o ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai

Zameen se aasman tak ek sannate ka aalam hai
Naheen maalum mere dil ki viraani kahaan tak hai

Zameen se aasman tak aasman se la makan tak hai
Khuda jane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

Niyaz o naaz ki rudad husn o ishq ka qissa
Ye jo kuchh bhi hai sab unki hamari dastan tak hai

Khayal e yaar ne to aate hi gum kar diya mujhko
Yahi hai ibteda to inteha iski kahan tak hai

Suna hai sufiyon se hamne aksar khanaqahon mein
Ki yeh rangeen bayani 'Bedam' rangeen bayan tak hai

- Kalaam by Hazrat Bedam Shah Warsi