Tuesday, November 8, 2016

Kal shab tha ajab deed ka manzar mere aaghe - Ahmed Faraz


Kal shab tha ajab deed ka manzar mere aaghe !
Duniya thi na hone ke baraabar mere aaghe !

Jaise mutalatim ho samandar mere andar,
jaise ho koi maah-e-munawar mere aaghe !

Us waqt na thi aankh jhapakne ki bhi fursat,
Ik shaher-e-tilismaat tha yaksar mere aaghe !

Us waqt na tha dil ko dhadkne ka bhi yaara,
Ik aalam-e-hairat tha saraasar mere aaghe !

Khuddam ba-hargaam liye jaam-e-istaara,
Lab basta kanizaan-e-saman bar mere aaghe !

Laaye koi meena-e-mae tund lapak kar,
Rakh de koi taazeem se saghar mere aaghe !

Chhup chhup ke koi chust karae tang qaba ko
Hans hans ke utaare koi zewar mere aaghe !

Ik mast adaa kakul-e-mushkeen ko bikhere,
Le aai daf-o-chang utha kar mere aaghe !

Jaise ho mere saamne shaddad ki jannat,
Jaise ho sanam khana-e-aazar mere aaghe !

Jaise koi gul chehra pari chham se utar aaye,
Aur raqs kare naaz se aa kar mere aaghe !

Shola sa badan zulf ki makhmal main lapete,
Jaise ho koi khwab sa paikar mere aaghe !

Yun jaise ke jaadu sa jagaata chala jaaye,
Ik aafat-e-jaan fitna-e-mehshar mere aaghe !

Yaaqoot se lab saru sa qad raat si aankhein,
wo jaan-e-qayamat thi mere ghar mere aaghe !

Wo kaifiyaat-e-dil thi ke behzaad ka fun kya,
Hafiz ki ghazal bhi thi farr-o-tarr mere aaghe !

Aye gardish-e-dauraan zara aahista qadam rakh,
Ye saa'at-e-guzraan hai ghadi bhar mere aaghe !

Aae mausam-e-hijraan abhi kuch der tawaqqaf,
Aana hai to aa jana taher kar mere aaghe !

Aasoodagi-e-qurb ki aazaa shikaani se,
Hai neend mein gaafil mera dilbar mere aaghe !

Aye subh-e-judaai abhi ruk jaa ke sitamgar,
Aise bhi na jage the muqaddar mere aaghe !

Shayad ke 'faraz' aaj kisi roop nagar se,
Aai hai qaza bhes badal kar mere aaghe !

~ Ahmed 'Faraz'

No comments:

Post a Comment